Friday, October 19, 2012

Dil hai mera maqaam-e-gham - Akhtar Sheerani


Dil hai mera maqaam-e-gham, gham ka maqaam hai yahaan
Naa’la-e-subah hai yahaan, giriyaa-e-shaam hai yahaan

Ek tasawwur-e-haseen khilwat-e-dil mein hai makeen
Deeda-e-shauq ke liye deed haraam hai yahaan

Nikhat-e-noor-o-naar udhar, zulmat-o-soz-o-saaz idhar
Subah hi subah hai wahaan, shaam hi shaam hai yahaan

Sahan-e-chaman mein har jagah nash’sha sa failne lagaa
Aaj yah kaun mahalaqaa mast-e-khiraam hai yahaan

Mera alam’kada nahin rang-e-tarab se aashna 
fasl-e-khijaan ho ya bahaar, maatam-e-aam hai yahaan

Unke liye suroor-e-naaz, mere liye gham-o-gudaaz 
Gardish-e-chashm hai wahaan, gardish-e-jaam hai yahaan

~ Akhtar Sheerani

No comments:

Post a Comment