Monday, May 27, 2013

Ishq-e-butaan ka le ke sahaara kabhi kabhi - ‘Arsh’ Malsiayani



Ishq-e-butaan ka le ke sahaara kabhi kabhi,
Apne Khuda ko hum ne pukaara kabhi kabhi;

Aasooda-e-Khaatir hi naheen matmah-e-wafa,
Gham bhi kiya hai hum ne gawaara kabhi kabhi;

Is intehaa-e-tark-e-muhabbat ke ba-wajood,
Hum ne liya hai naam tumhaara kabhi kabhi;

Tufaan ka khauf hai abhi shayad karishma-kaar,
Aata hai samne jo kinaara kabhi kabhi,

Tanhaa-ravi ne rak’khi humaare junoon ki laaj,
Go ahl-e-kaarwan ne pukaara kabhi kabhi;

Ab kya kahein dil-e-mutalavvin-mizaaj ko,
Aksar ye aap ka hai,humaara kabhi kabhi;

Paiham sitam se ishq ki taskeen ho na jaaye,
Aye dost iltifaat Khudaa-ra kabhi kabhi;

Fariyaad-e-gham se ‘arsh’ sambhalta hai dil magar,
Lete hain ahl-e-dil ye sahaara kabhi kabhi..!!!

~ ‘Arsh’ Malsiayani

--------------------------------------------------------------------------
Aasooda-e-Khaatir = Khushaali ke liye
matmah-e-wafa = Wafa ki chaahat
dil-e-mutalavvin-mizaaj = Wo dil jiska mizaj humesha badalta ho
Paiham = Humesha, lagataar
Iltifaat = Rahem










1 comment: