Monday, October 31, 2016

Wo kaam kyun karein jise dil maantaa na ho - Seemab Akbarabadi

Barbaad husn-e-zan se maal-e-wafaa na ho !
Aisa na ho ke haqq-e-muhabbat ataa na ho !

Hoon aashna-e-dost, mujhe kyun ataa na ho ?
Aisi jabeen jo dair-o-haram se aashnaa na ho !

Phir chaahta hoon raabta husn-o-ishq se,
Wo ibtada ke jis ki koi intehaa na ho !

Wo sar-khushi ka waqt hai jab kaayenaat mein,
Dil bolta ho aur aur koi boltaa na ho !

Rahne de imtiyaaz ke parde pade huye,
Aye husn ! har naqaab se jalwanumaa na ho !

Mahw-e-khudi na ho jo wo kaafir to kya kare,
Jis ki nazar mein hadd-e-khudi tak Khuda na ho !

'Seemab' tark-e-ishq-o-gham-e-zindagi galat,
Wo kaam kyun karein jise dil maantaa na ho !

~ Aashiq Hussain Siddiqui 'Seemab' Akbarabadi
(5.06.1882 – 31.01.1951)

No comments:

Post a Comment