Raanaai-e-kaunain se be-zaar humeen the,
Hum the, tere jalwon ke talabgaar humeen the ! Hai farq talabgaar-o-parastaar mein aye dost,
Duniya thi talabgaar parastaar humeen the !
Is banda-navaazi ke tasadduq ke sar-e-mehshar,
Goya teri rehmat ke sazaa-waar humeen the !
De de ke nigaahon ke tasawwur ka sahaara,
Raton ko tere waaste bedaar humeen the !
Bazaar-e-azal yun to bahot garm tha lekin,
Le de ke mohabbat ke khareedar humeen the !
Khatke hain tere saare gulistaan ki nazar mein,
Sab apni jagah phool the khaar humeen the !
Haan aap ko dekha tha mohabbat se humeen ne,
Jii saare zamaane ke gunahgaar humeen the !
Hai aaj wo soorat ke banaaye nahin banti,
Kal naqsh-e-do-aalam ke kalamkaar humeen the !
Pachhtaaoge dekho humein begaana samajh kar,
Maanoge kisi waqt ke gham-khwaar humeen the !
Arbaab-e-watan khush hain humein dil se bhulaa kar,
Jaise nigah-o-dil pe bas ik baar humeen the !
‘Ehsaan’ hai be-sood gila unki jafaa ka,
Chaaha tha unhein hum ne, khatawaar humeen the !
~ ‘Ehsaan’ Danish Sahab |