Paas aatey hain merey aur na bulatey hain mujhe
Ye bhi kya kam hai ke wo yaad to aatey hain mujhe
Daayam abaad rahey yun hi bhari bazm unki
Ban ke khud shamm’aa jo parwaana banaatey hain mujhe
Sadqa husn-e-nazar hai meri masti saari
Unke qurbaan jo aankhon se pilaatey hain mujhe
Meri kya bood hai sab unka wajood unka namood
Kaise nadaan hain jo saamney laatey hain mujhe
Jaante hain ke nahin unke siwa koi meraa
Kuchh samajh kar ke hi daaman mein chhupaatey hain mujhe
Kahiye kis khusrawe khooban ki aamad ‘Kamil’
Roonumaai mein do aalam nazar aatey hain mujhe
~ Hazrat ‘Kamil’ Hyderabadi