Kabhi un ka naam lena kabhi un ki baat karna !
Mera zauq un ki chaahat, mera shauq un pe
marna !
Wo kisi ki jheel aankhen wo meri junoon-mizaji,
Kabhi doobna ubhar kar kabhi doob kar ubharna
!
Tere manchalon ka jag mein ye ajab chalan raha
hai,
Na kisi ki baat sunna, na kisi se baat karna !
Shab-e-gham na poochh kaise tere mubtala pe
guzari,
Kabhi aah bhar ke girna, kabhi gir ke aah
bharna !
Wo teri gali ke tewar, wo nazar nazar pe pahre,
Wo mera kisi bahane tujhe dekhte guzarna !
Kahaan mere dil ki hasrat, kahan meri na-rasai,
kahaan tere gesuon ka tere dosh par bikharna !
Chale lakh chaal duniya ho zamana lakh dushman,
Jo teri panaah mein ho use kya kisi se darna !
Wo karenge na-khudai to lagegi paar kashti,
Hai 'naseer' warna mushkil tera paar yun
utarna !
~ Peer Naseeruddin 'Naseer' r.a.
nice
ReplyDeletePeer sahb zinda bad
ReplyDeleteMashallah Very Nice
ReplyDeleteYeh Hai Maikada yaha Rind
learn about Latest price predictions, news of crypto market, blockchain technology, crypto exchanges and much more.
ReplyDeleteCrypto Candle