Apna to nahin yaar main kuchh, yaar hoon tera
Tu jis ki taraf howey, tarafdaar hoon tera
Kurhne pe mere jee na kurha, teri balaa se
Apna to nahin gham mujhe, ghamkhwaar hoon tera
Tu chaahe na chaahe mujhe kuchh kaam nahin hai
Azaad hoon is se bhi, giraftaar hoon tera
Tu howey jahaan, mujh ko bhi hona waheen laazim
Tu gul hai meri jaan to, main khaar hoon tera
Hai ishq se mere hi tere husn ka shahra
Main kuchh nahin par, garmi-e-bazaar hoon tera
Meri bhi taraf tu kabhi aa jaa mere Yusuf
Burhiya ki tarah main bhi khareedar hoon tera
Aye ‘Dard’ mujhe kuchh naheen ab aur to azaar
Us chasm se kah dena ki bimaar hoon tera
~ Hazrat Khwaja Mir ‘Dard’
No comments:
Post a Comment