Monday, May 7, 2012

Paas aatey hain merey aur na bulatey hain mujhe - Hazrat Kamil Hyderabadi

Paas aatey hain merey aur na bulatey hain mujhe

Ye bhi kya kam hai ke wo yaad to aatey hain mujhe



Daayam abaad rahey yun hi bhari bazm unki

Ban ke khud shamm’aa jo parwaana banaatey hain mujhe



Sadqa husn-e-nazar hai meri masti saari

Unke qurbaan jo aankhon se pilaatey hain mujhe



Meri kya bood hai sab unka wajood unka namood

Kaise nadaan hain jo saamney laatey hain mujhe



Jaante hain ke nahin unke siwa koi meraa

Kuchh samajh kar ke hi daaman mein chhupaatey hain mujhe



Kahiye kis khusrawe khooban ki aamad ‘Kamil’

Roonumaai mein do aalam nazar aatey hain mujhe



~ Hazrat ‘Kamil’ Hyderabadi









1 comment: