Showing posts with label poetry. Show all posts
Showing posts with label poetry. Show all posts
Saturday, December 1, 2018
Nigah-e-Yaar
Labels:
adab,
Ishq,
nigah-e-yar,
poetry,
raees Niyazi,
Sufi,
sufi poetry,
urdu,
urdu poetry
Saturday, February 9, 2013
Thursday, February 7, 2013
Wednesday, February 6, 2013
Tuesday, February 5, 2013
Monday, December 24, 2012
Haram aur dair ke katbey wo dekhey - ‘Seemab’ Akbarabadi

Haram aur dair ke katbey wo dekhey jis ko fursat hai,
Yahaan hadd-e-nazar tak sirf unwaan-e-muhabbat hai;
Parastaar-e-muhabbat ki muhabbat hi shariyat hai,
Kisi ko yaad kar ke aah kar lenaa ibaadat hai;
Ho ek kiradaar tum bhi merey mamool-e-muhabbat ka,
Mujhe tumse nahin apni muhabbat se muhabbat hai;
Wo kya sajda ? rahe ehsaas jismein sar uthaane ka,
Ibaadat aur ba-qaid-e-hosh tauheen-e-ibaadat hai;
Meri dewaangi pe hosh waale bahas farmaaein,
Magar pahle unhein deewana ban’ne ki zaroorat hai;
Maqaam-e-ishq ko har aadmi ‘seemab’ kya samjhe,
Ye hai ek martabaa, jo maawara-e-aadmiyat hai..!!!
~ Hazrat ‘Seemab’ Akbarabadi Sahab
Labels:
poetry,
Seemab Akbarabadi,
Sufi,
sufi poetry,
urdu,
urdu poetry
Tuesday, December 18, 2012
Sajda kar ke qadam-e-yaar pe qurbaan hona - ‘Wamiq’ Jaunpuri Sahab
Sajda kar ke
qadam-e-yaar pe qurbaan hona,
Yun likha tha meri
kismat mein musalmaan hona;
Jiska mazhab ho faqat
yaad-e-sanam deed-e-sanam,
Wo nahin jaanta
kaafir ya musalmaan hona;
Husn ko poojna aur
jaam-e-muhabbat peena,
Mashrab-e-ishq
mein yun sahib-e-imaan hona;
Maqtab-e-ishq mein
‘Wamiq’ ne ya paai taleem
Ain-e-imaan hai
fida-e-rukh-e-janaan hona....!!!!
~ Hazrat ‘Wamiq’
Jaunpuri Sahab
Labels:
poetry,
Sufi,
sufi poetry,
urdu,
urdu poetry,
wamiq jaunpuri
Monday, October 22, 2012
Sunday, October 21, 2012
Saturday, October 20, 2012
Ya mujhe afsar-e-shahaana banaaya hota - Hazrat Bahadur Shah ‘Zafar’
Ya mujhe afsar-e-shahaana banaaya hota
Ya mera taaj gadayana banaaya hota
Apna deewana banaya mujhe hota tu ne
Kyun khirad mand banaaya, na banaaya hota
Khaksaari ke liye gar che banaaya tha mujhe
Kaash !!! sang-e-dar-e-janaana banaay hota
Nash’aa-e-ishq ka gar zarf diya tha mujh ko
Umr ka tang na paimaana banaaya hota
Dil-e-sad chaak banaaya, to balaa se, lekin
Zulf-e-mushkeen ka teri shaana banaaya hota
Soofiyon ke jo na tha laayaq-e-sohbat to mujhe
Qaabil-e-jalsa-e-rindaana banaay hota
Tha jalaana hi agar doori-e-saaqi se mujhe
To charaagh-e-dar-e-janaana banaaya hota
Roz maamoora-e-duniyaa mein kharaabi hai ‘Zafar’
Aisi basti se to weerana banaaya hota
~ Hazrat Bahadur Shah ‘Zafar’
Labels:
Bahadur Shah ‘Zafar’,
poetry,
Sufi,
sufi poetry,
urdu,
urdu poetry
Friday, October 19, 2012
Dil hai mera maqaam-e-gham - Akhtar Sheerani
Dil hai mera maqaam-e-gham, gham ka maqaam hai yahaan
Naa’la-e-subah hai yahaan, giriyaa-e-shaam hai yahaan
Ek tasawwur-e-haseen khilwat-e-dil mein hai makeen
Deeda-e-shauq ke liye deed haraam hai yahaan
Nikhat-e-noor-o-naar udhar, zulmat-o-soz-o-saaz idhar
Subah hi subah hai wahaan, shaam hi shaam hai yahaan
Sahan-e-chaman mein har jagah nash’sha sa failne lagaa
Aaj yah kaun mahalaqaa mast-e-khiraam hai yahaan
Mera alam’kada nahin rang-e-tarab se aashna
fasl-e-khijaan ho ya bahaar, maatam-e-aam hai yahaan
Unke liye suroor-e-naaz, mere liye gham-o-gudaaz
Gardish-e-chashm hai wahaan, gardish-e-jaam hai yahaan
~ Akhtar Sheerani
Labels:
Akhtar Sheerani,
Dil,
Gham,
poetry,
Sufi,
sufi poetry,
urdu,
urdu poetry
Thursday, October 18, 2012
Kafir-e-ishq hoon main banda-e-islam nahin - Hazrat Qibla Shah Niyaz Beniyaz R.A.
Kafir-e-ishq hoon main banda-e-islam nahin
But parasti ke siwa aur mujhe kaam nahin
Ishq mein poojta hoon qibla-o- kaaba apna
Ek pal dil ko mere uske bin aaraam nahin
Bulhawas paanw na rakhiyo kabhi is raah ke beech
Koocha-e-ishq hai ye raguzar-e-aam nahin
Haye re haye chali jaati hai yun fasl-e-bahaar
Kya karoon bas nahin apna wo sanam ram nahin
Aar kya hai tujhe duniya ki malaamat se ‘Niyaz’
Aashiqon mein tuu akelaa hi to badnaam nahin
~ Hazrat Qibla Shah Niyaz Beniyaz R.A.
Labels:
hazrat Shah Niyaz Ahmed,
kafir-e-ishq,
niyaz beniyaz,
poetry,
Shah Niaz,
shah niyaz,
Sufi,
sufi poetry,
urdu,
urdu poetry
Sunday, October 14, 2012
Mohabbat karne wale gham se ghabraaya nahin kerte !!!!
M’aaz-Allah tasawwur mein bhi wo aaya
nahin karte
Dil-e-mahzoon ko sham-e-gham bhi samjhaaya nahin karte
Dil-e-mahzoon ko sham-e-gham bhi samjhaaya nahin karte
Guzishta waardat-e-ishq duhraaya nahin kerte
Shikaayat kya labon
tak aah bhi laaya nahin karte
Mohabbat karne wale gham se ghabraaya nahin
kerte.....
Ye behr-e-kaif-o-masti hai yahan be-wasta
bahna
Ye duniya-e-muhabbat hai yahan ka hashr kya kahna
Ye duniya-e-muhabbat hai yahan ka hashr kya kahna
Ye hoshiyaron ki
mahfil hai yahan kuch soch ker kahna
Ye bazm-e-saghar-o-meena hai waaiz hosh
mein rehna
Yahan be-kaif afsaanon ko dohraaya nahin
karte.....
Jinhein gham ki fazaaein bakhsh dein irfaan-e-sermasti
Jinhein unki adaaein bakhsh dein irfaan-e-sarmasti
Jinhein paiham jafaein
bakhsh dein irfaan-e sar-masti
Jinhein unki nighahein bakhsh dein irfan-e
sar-masti
Wo deewane fareb-e-hosh mein ayaa nahin kerte.....
Terey qadmon pe sar
rakhna meri daireena fitrat hai
Yahi meri aqedat hai yahi meri mohabbat
hai
Dil-e-dard-aashna ulfat mein ye takmeel-e-ulfat hai
Haram ho dair ho
kuchh bhi ho lekin ye haqeeqat hai
Khuloos-e-dil ke sajde raayegaan jaaya
nahin kerte.....
Raah-e-ulfat mein hota hai taqaaza ab ye khilwat
ka
Aur gumaan hone laga soorat pe apni, unki soorat ka
Azeez-e-Waarsi ye
sheir hai pukhta aqeedat ka
‘Asad’ mauqa miley to kya miley arz-e-mohabbat
ka
Hum un ko paa ke apne aap ko payaa nahin kerte.....
Labels:
Ishq,
poetry,
Sufi,
sufi poetry,
urdu,
urdu poetry
Monday, June 18, 2012
Tumhare dar pe sada kham sar-e-niyaz rahe......
Tumhare dar pe sada kham sar-e-niyaz rahe
Namaz-e-ishq ka ye silsila daraaz rahe
Sar-e-niyaz ka kya hai raha, raha na raha
Khuda kare ke tera aastaan-e-naaz rahe
Wo sar hi kya ke na ho jis pe ishq ka sauda
Wo dil hi kya ke ulfat se beniyaaz rahe
Maza isi mein hai aashiq ko zindagaani ka
Kisi ki yaad rahe aur aah jaan gudaaz rahe
Fareb-e-husn ke parde jo darmiyaan se uthe
Niyaz-o-naaz mein kuchh bhi na imtiyaaz rahe
Yahi hai haasil-e-ulfat, yahi hai maa’na-e-ishq
Niyazmand rahoon main, wo beniyaaz rahe !!!!!!
Labels:
Ishq,
poetry,
Sar-e-Niyaz,
Sufi,
sufi poetry,
urdu,
urdu poetry
Monday, May 7, 2012
Paas aatey hain merey aur na bulatey hain mujhe - Hazrat Kamil Hyderabadi
Paas aatey hain merey aur na bulatey hain mujhe
Ye bhi kya kam hai ke wo yaad to aatey hain mujhe
Daayam abaad rahey yun hi bhari bazm unki
Ban ke khud shamm’aa jo parwaana banaatey hain mujhe
Sadqa husn-e-nazar hai meri masti saari
Unke qurbaan jo aankhon se pilaatey hain mujhe
Meri kya bood hai sab unka wajood unka namood
Kaise nadaan hain jo saamney laatey hain mujhe
Jaante hain ke nahin unke siwa koi meraa
Kuchh samajh kar ke hi daaman mein chhupaatey hain mujhe
Kahiye kis khusrawe khooban ki aamad ‘Kamil’
Roonumaai mein do aalam nazar aatey hain mujhe
~ Hazrat ‘Kamil’ Hyderabadi
Labels:
Kamil Hyderabadi,
poetry,
Sufi,
sufi poetry,
urdu,
urdu poetry
Saturday, April 14, 2012
Apna to nahin yaar main kuchh, yaar hoon tera - Khwaja Mir 'Dard'
Apna to nahin yaar main kuchh, yaar hoon tera
Tu jis ki taraf howey, tarafdaar hoon tera
Kurhne pe mere jee na kurha, teri balaa se
Apna to nahin gham mujhe, ghamkhwaar hoon tera
Tu chaahe na chaahe mujhe kuchh kaam nahin hai
Azaad hoon is se bhi, giraftaar hoon tera
Tu howey jahaan, mujh ko bhi hona waheen laazim
Tu gul hai meri jaan to, main khaar hoon tera
Hai ishq se mere hi tere husn ka shahra
Main kuchh nahin par, garmi-e-bazaar hoon tera
Meri bhi taraf tu kabhi aa jaa mere Yusuf
Burhiya ki tarah main bhi khareedar hoon tera
Aye ‘Dard’ mujhe kuchh naheen ab aur to azaar
Us chasm se kah dena ki bimaar hoon tera
~ Hazrat Khwaja Mir ‘Dard’
Labels:
Dard,
Hazrat Khwaja Mir 'Dard',
Khwaja Meer Dard,
Meer Dard,
poetry,
sufi poetry,
urdu,
urdu poetry
Friday, April 6, 2012
Main khud ko dhoondhta hoon - Hazrat Syed Ghaosi Shah R.A.
Main khud ko dhoondhta hoon, Wo haath aa rahe hain
Ab meri shaql se wo, jalwe dikha rahe hain
Main wo nahin hoon hargiz, wo main nahin hain lekin
Wo mujh ko munh kar ke, khud ko bataa rahey hain
Main unka aaina hoon, wo mera aaina hain
Main unhein dikhaa rahaa hoon, wo mujhe dikhaa rahey hain
Main, main nahin rahaa ab, ab wo hi main baney hain
Har aan ab wo mujh mein, main ban ke aa rahey hain
Aye waa-e-Hazrat-e-ishq achchhe hain ye karishmein
Arey jitna mujhe bigaada, utna banaa rahey hain
Mai mein kahaan thi masti, itni ke mujh ko khoti
In aakhon ke main sadqe, bekhud banaa rahey hain
Taalib se lan-taraani aakhir chali na unki
Kah kar wal-aakhir-unzur parde utha rahey hain
Main kya bataaun ‘Ghausi’ main kaisa mit gayaa hoon
Khud ko tatolta hoon, wo haath aa rahey hain
~ Az Hazrat Syed Ghousi Shah R.A.,Hyderabad
Labels:
Hazrat Ghousi Shah,
hindi,
Ishq,
poetry,
Sufi,
sufi poetry,
urdu,
urdu poetry
Sunday, July 25, 2010
Monday, July 19, 2010
Friday, July 16, 2010
Subscribe to:
Posts (Atom)













