Tumhari beniyazi ka tamaasha hum bhi dekhenge,
Ye aalam kis tarah hota hai ruswa hum bhi dekhenge;
Kisi din to tumhare aastane se karam hoga,
Kisi din to kamaal-e-zauq-e-sajda hum bhi dekhenge;
Shakista paa hain lekin badh rahe hain jaanib-e-manzil,
Kisi surat to ummeedon ka sahaara hum bhi dekhenge;
Azal ke din jo dikhlaaya tha terey lutf-e-paiham ne,
Wahi naqsha wahi jalwa khudaara hum bhi dekhenge;
Zaraa aye ‘Raaz’ uthne do nigaahe banda-parwar ko
Khud apne raaz ko aalam mein afshaan hum bhi dekheinge
~ Az Hazrat Imam-us-Salekeen Shah Muhammad Taqi ‘Raaz’ Niyazi R.A.
Woh Aik Khat Jo Tuny Kabhi Likha Hi Nahi,
ReplyDeleteMain Rooz Baith Kar Uska Jawab Likhti Hon...!!!
Read More
The Parveen Shakir Poetry are remarkable. I never read her poetry before but now I am looking forward to it.
ReplyDelete