Saturday, April 14, 2012

Apna to nahin yaar main kuchh, yaar hoon tera - Khwaja Mir 'Dard'


Apna to nahin yaar main kuchh, yaar hoon tera

Tu jis ki taraf howey, tarafdaar hoon tera



Kurhne pe mere jee na kurha, teri balaa se

Apna to nahin gham mujhe, ghamkhwaar hoon tera



Tu chaahe na chaahe mujhe kuchh kaam nahin hai

Azaad hoon is se bhi, giraftaar hoon tera



Tu howey jahaan, mujh ko bhi hona waheen laazim

Tu gul hai meri jaan to, main khaar hoon tera



Hai ishq se mere hi tere husn ka shahra

Main kuchh nahin par, garmi-e-bazaar hoon tera



Meri bhi taraf tu kabhi aa jaa mere Yusuf

Burhiya ki tarah main bhi khareedar hoon tera



Aye ‘Dard’ mujhe kuchh naheen ab aur to azaar

Us chasm se kah dena ki bimaar hoon tera



~ Hazrat Khwaja Mir ‘Dard’

Friday, April 6, 2012

Main khud ko dhoondhta hoon - Hazrat Syed Ghaosi Shah R.A.

Main khud ko dhoondhta hoon, Wo haath aa rahe hain

Ab meri shaql se wo, jalwe dikha rahe hain



Main wo nahin hoon hargiz, wo main nahin hain lekin

Wo mujh ko munh kar ke, khud ko bataa rahey hain



Main unka aaina hoon, wo mera aaina hain

Main unhein dikhaa rahaa hoon, wo mujhe dikhaa rahey hain



Main, main nahin rahaa ab, ab wo hi main baney hain

Har aan ab wo mujh mein, main ban ke aa rahey hain



Aye waa-e-Hazrat-e-ishq achchhe hain ye karishmein

Arey jitna mujhe bigaada, utna banaa rahey hain



Mai mein kahaan thi masti, itni ke mujh ko khoti

In aakhon ke main sadqe, bekhud banaa rahey hain



Taalib se lan-taraani aakhir chali na unki

Kah kar wal-aakhir-unzur parde utha rahey hain



Main kya bataaun ‘Ghausi’ main kaisa mit gayaa hoon

Khud ko tatolta hoon, wo haath aa rahey hain



~ Az Hazrat Syed Ghousi Shah R.A.,Hyderabad