Monday, December 24, 2012

Haram aur dair ke katbey wo dekhey - ‘Seemab’ Akbarabadi







Haram aur dair ke katbey wo dekhey jis ko fursat hai,
Yahaan hadd-e-nazar tak sirf unwaan-e-muhabbat hai;

 Parastaar-e-muhabbat ki muhabbat hi shariyat hai,
Kisi ko yaad kar ke aah kar lenaa ibaadat hai;

Ho ek kiradaar tum bhi merey mamool-e-muhabbat ka,
Mujhe tumse nahin apni muhabbat se muhabbat hai;

Wo kya sajda ? rahe ehsaas jismein sar uthaane ka,
Ibaadat aur ba-qaid-e-hosh tauheen-e-ibaadat hai;

 Meri dewaangi pe hosh waale bahas farmaaein,
Magar pahle unhein deewana ban’ne ki zaroorat hai;

 Maqaam-e-ishq ko har aadmi ‘seemab’ kya samjhe,
Ye hai ek martabaa, jo maawara-e-aadmiyat hai..!!!


~ Hazrat ‘Seemab’ Akbarabadi Sahab



Tuesday, December 18, 2012

Sajda kar ke qadam-e-yaar pe qurbaan hona - ‘Wamiq’ Jaunpuri Sahab


Sajda kar ke qadam-e-yaar pe qurbaan hona,

Yun likha tha meri kismat mein musalmaan hona;

 

Jiska mazhab ho faqat yaad-e-sanam deed-e-sanam,

Wo nahin jaanta kaafir ya musalmaan hona;

 

Husn ko poojna aur jaam-e-muhabbat peena,

Mashrab-e-ishq mein yun sahib-e-imaan hona;

 

Maqtab-e-ishq mein ‘Wamiq’ ne ya paai taleem

Ain-e-imaan hai fida-e-rukh-e-janaan hona....!!!!

 

~ Hazrat ‘Wamiq’ Jaunpuri Sahab

Monday, December 17, 2012

Un aankhon ka aalam, ghulabi ghulabi - Hazrat Behzad Lakhnavi


Un aankhon ka aalam, ghulabi ghulabi
Merey dil ka aalam, sharabi sharabi

 Nigahon ne dekhi, muhabbat ne maani
Teri bemisali, teri lajawaabi

 Ye duz-deeda nazarein, ye raftaar-e-naazuk
Inheen ke badaulat hui hai kharabi


Khuda ke liye apni nazron ko roko
Tamanna bani ja rahi hai jawabi


Hai “Behzad” unki nigah-e-karam par
Meri na-muradi meri kaamayabi

 

~ Hazrat ‘Behzad’ Lucknawi Niyazi R.A.