Thursday, September 12, 2013

Raanaai-e-kaunain se be-zaar humeen the - Ehsan Danish



Raanaai-e-kaunain se be-zaar humeen the,
Hum the, tere jalwon ke talabgaar humeen the !

Hai farq talabgaar-o-parastaar mein aye dost,
Duniya thi talabgaar parastaar humeen the !

Is banda-navaazi ke tasadduq ke sar-e-mehshar,
Goya teri rehmat ke sazaa-waar humeen the !

De de ke nigaahon ke tasawwur ka sahaara,
Raton ko tere waaste bedaar humeen the !

Bazaar-e-azal yun to bahot garm tha lekin,
Le de ke mohabbat ke khareedar humeen the !

Khatke hain tere saare gulistaan ki nazar mein,
Sab apni jagah phool the khaar humeen the !

Haan aap ko dekha tha mohabbat se humeen ne,
Jii saare zamaane ke gunahgaar humeen the !

Hai aaj wo soorat ke banaaye nahin banti,
Kal naqsh-e-do-aalam ke kalamkaar humeen the !

Pachhtaaoge dekho humein begaana samajh kar,
Maanoge kisi waqt ke gham-khwaar humeen the !

Arbaab-e-watan khush hain humein dil se bhulaa kar,
Jaise nigah-o-dil pe bas ik baar humeen the !

‘Ehsaan’ hai be-sood gila unki jafaa ka,
Chaaha tha unhein hum ne, khatawaar humeen the !

~ ‘Ehsaan’ Danish Sahab

Saturday, July 13, 2013

Rehmat ka taqaaza - Anwar Sabri

'Anwar' mere kaam aai qayaamat mein nadaamat,
Rehmat ka taqaaza meraa har ashk-e-rawaan tha !!
~ 'Anwar' Sabri Sahab

Sunday, June 30, 2013

Qaid-e-gham-e-hayaat se humko chhudaa liyaa - Shamim Karhani


Qaid-e-gham-e-hayaat se humko chhudaa liyaa,
Achchha kiya ke aap ne apna banaa liyaa !

Hone diya na hum ne andheraa shab-e-firaaq,
Bujhne laga chiraag to dil ko jalaa liyaa !

Duniyaa ke paas hai koi is tanz ka jawaab ,
Diwaana apne haal pe khud muskuraa liyaa !

Chup hoon tumhaara dard-e-muhabbat liye huye,
Sab poochte hai tum ne zamaane se kyaa liyaa !

Kyaa baat thi ke khalvat-e-zahid ko dekh kar,
Rind-e-gunaahgaar ne sar ko jhukaa diyaa !

Na qaabil-e-bayaan hai muhabbat ki lazzaten,
Kuchh dil hi jaanta hai jo dil ne mazaa liyaa !

Roz-e-azal padi thi hazaaron hi neymatein,
Hum ne kisi ka dard-e-mohabbat utaa liyaa !

Badhne lagi ji talki-e-gham-e-haa-e-zindagi,
Thoda sa baada-e-gham-e-janaan milaa liyaa !

Waqif nahin giraft-e-tasawwur se wo ‘Shamim’,
Jo ye samajh rahe hain ke daaman chhudaa liya !

~ ‘Shamim’ Karhani





Monday, May 27, 2013

Ishq-e-butaan ka le ke sahaara kabhi kabhi - ‘Arsh’ Malsiayani



Ishq-e-butaan ka le ke sahaara kabhi kabhi,
Apne Khuda ko hum ne pukaara kabhi kabhi;

Aasooda-e-Khaatir hi naheen matmah-e-wafa,
Gham bhi kiya hai hum ne gawaara kabhi kabhi;

Is intehaa-e-tark-e-muhabbat ke ba-wajood,
Hum ne liya hai naam tumhaara kabhi kabhi;

Tufaan ka khauf hai abhi shayad karishma-kaar,
Aata hai samne jo kinaara kabhi kabhi,

Tanhaa-ravi ne rak’khi humaare junoon ki laaj,
Go ahl-e-kaarwan ne pukaara kabhi kabhi;

Ab kya kahein dil-e-mutalavvin-mizaaj ko,
Aksar ye aap ka hai,humaara kabhi kabhi;

Paiham sitam se ishq ki taskeen ho na jaaye,
Aye dost iltifaat Khudaa-ra kabhi kabhi;

Fariyaad-e-gham se ‘arsh’ sambhalta hai dil magar,
Lete hain ahl-e-dil ye sahaara kabhi kabhi..!!!

~ ‘Arsh’ Malsiayani

--------------------------------------------------------------------------
Aasooda-e-Khaatir = Khushaali ke liye
matmah-e-wafa = Wafa ki chaahat
dil-e-mutalavvin-mizaaj = Wo dil jiska mizaj humesha badalta ho
Paiham = Humesha, lagataar
Iltifaat = Rahem










Sunday, May 5, 2013

Ye bhi kya ghar hai, barbaad bhi, aabaad bhi - ‘Asghar’ Gondavi


Hai dil-e-nakaam-e-aashiq mein tumhari yaad bhi,
Ye bhi kya ghar hai, barbaad bhi, aabaad bhi;

Dil ke mitne ka mujhe kuchh aur aisa gham nahin,
Haan magar itna, ke hai is mein tumhari yaad bhi;

Kis ko ye samjhaaiye nairang-e-kaar-e-aashiqui,
Tham gaye ashk-e-musalsal, ruk hai fariyaad bhi;

Seeney mein dard-e-muhabbat raaz ban kar rah gaya,
Ab wo haalat hai ke kar sakte nahin faryaad bhi;

Phaad daloonga gareeban, phor daloonga apna sar,
Hai mere aafatkade mein kais bhi farhaad bhi

Kuchh to ‘Asghar’ mujh mein hai, qaayam hai jis se zindagi,
Jaan bhi kahte hain is ko aur unki yaad bhi;

~ Hazrat ‘Asghar’ Gondavi

Monday, April 29, 2013

Kya kiya banda-e-nacheez pe ehsaan tu ne - Hazrat Allama Ghulam Ahmed Gilimi Chishti R.A.

Kya kiya banda-e-nacheez pe ehsaan tu ne,
Apna deewana banaaya merey jaana tu ne;

Jab se dekha hai tujhe, dil nahin kaabu mein mera,
Kafir-e-ishq bana kar liya imaan tu ne;

Khusha-naseeb ke nisbat ataa kiya tu ne,
Karam kiya, mujhe apna bana liya tu ne;

Hazaar baar yahi sochta hoon rah-rah kar,
Main kya tha aur mujhe kya bana diya tu ne;

Isi adaa pe teri mit gaye hain deewane,
Khata hui to khata ko chhupa liya tu ne;

Ye mera zarf, khata pe khata hui mujhe se,
Wo shaan teri, karam pe karam kiya tu ne;

Teri talash mein jab gum hua koi banda,
To us ko bandey se maula bana diya tu ne;

Terey ehsaan ka badla to nahin ho sakta,
Meri mushkil ko humesha kiya asaan tu ne..!!!

~ Hazrat Allama Ghulam Ahmed Gilimi Chishti R.A.

Saturday, February 16, 2013

Dair-o-haram hai gard-e-raah - ‘Firaq’ Gorakhpuri




Aah wo manzil-e-muraad, door bhi hai qareeb bhi
Der hui ki kaafiley uski taraf rawaan nahin

Dair-o-haram hai gard-e-raah, naksh-e-qadam hai mehr-o-maah
In mein koi bhi ishq ki manzil-e-kaarwaan nahin

~ ‘Firaq’ Gorakhpuri

Jo hain aashna sir’re asraar ke - Hazrat Shah Niyaz Ahmed R.A.



Jo hain aashna sir’re asraar ke 
Wo hain yaar har yaar-o-aghyaar ke 

Andhera ujaala, nihaan aur ayaan

Ye jalwe hain sab jalwa-e-yaar ke

Bahaar-o-khizaan hum pe hai eksaan
Kabhi yaar-e-ghul hain kabhi khaar ke

Idhar ki nahin jaante rasm-o-raah
Miyan hum to baashinda hain paar ke 

Kahaan se kahaan le ke panhucha ye dil
Malaayak jahaan se rahye haar ke

Nahin Qais-o-Farhaad sa main ‘Niyaz’
Ke hon gard-e-sahra–o-kohsaar ke 

~ Hazrat Shah Niyaz Ahmed R.A.


Friday, February 15, 2013

Tumhari beniyazi ka tamaasha hum bhi dekhenge - Hazrat Shah Muhammad Taqi 'Raaz' Niyazi



Tumhari beniyazi ka tamaasha hum bhi dekhenge,
Ye aalam kis tarah hota hai ruswa hum bhi dekhenge;

Kisi din to tumhare aastane se karam hoga,
Kisi din to kamaal-e-zauq-e-sajda hum bhi dekhenge;

Shakista paa hain lekin badh rahe hain jaanib-e-manzil,
Kisi surat to ummeedon ka sahaara hum bhi dekhenge;

Azal ke din jo dikhlaaya tha terey lutf-e-paiham ne,
Wahi naqsha wahi jalwa khudaara hum bhi dekhenge;

Zaraa aye ‘Raaz’ uthne do nigaahe banda-parwar ko
Khud apne raaz ko aalam mein afshaan hum bhi dekheinge 

~ Az Hazrat Imam-us-Salekeen Shah Muhammad Taqi ‘Raaz’ Niyazi R.A.





Thursday, February 14, 2013

Aah ko dard chaahiye, naghme ko saaz chaahiye - Hazrat Shah Muhammad Taqi “Raaz” Niyazi R.A.



Aah ko dard chaahiye, naghme ko saaz chaahiye
Raaz ka maajra hai ye Raaz ko Raaz chaahiye

Hijr ki lazzaton mein gum hai saari kaaynaat
Mujhko to har sahar ke baad shaam-e-daraaz chaahiye

Kya merey zauq-e-bandagi, chaahiye koi aastaan
Kya meri aarzoo-e-deed jalwa taraaz chaahiye

Zauq-e-sujood kya karey,Naat-o-Durood kya karey
Maarfat-e-Habeeb ko qalb-e-gudaaz chaahiye

Yaani ke ho niyaaz-e-ishq, naghma-e-soz-o-saaz-e-ishq
Jo ho kisi ka raaz-e-ishq, ‘Raaz’ wo raaz chaahiye !!!!!

~ Az Hazrat 'Imam-us-Salekeen' Shah Muhammad Taqi urf Aziz Miyan “Raaz” Niyazi R.A.

Wednesday, February 13, 2013

Faqeeri jis ne ki goya ke us ne baadshahi ki - Khwaja haider Ali 'Aatish'



Faqeeri jis ne ki goya ke us ne baadshahi ki

Jise zill-e-huma kahte hain, darveshon ka kambal hain



~ Khwaja haider Ali 'Aatish' 



(He who opts for the beggar's life, enjoys kingly state,
The blanket of a beggar is the fabled phoenix shade)

Tuesday, February 12, 2013

'Asghar' hareem-e-ishq mein hasti hi jurm hai - Asghar Gondvi


'Asghar' hareem-e-ishq mein hasti hi jurm hai
Rakhna kabhi na paaon yahaan sar liye huye

~ Asghar Gondvi

Monday, February 11, 2013

Jaanega baad-e-marg - Mir Taqi Mir



Maujein kare hai ab to bahr-e-jahaan mein tu
Jaanega baad-e-marg ke aalam hubaab tha

~ Mir Taqi 'Mir'

You now delight to swim and sport in the sea of life
That life is a water bubble you will at last realize

Sunday, February 10, 2013

Soch kar jurm-e-muhabbat ki sazaa do hum ko - Ehsan Danish




Na siyo honth, na khwabon mein sadaa do hum ko
Maslehat ka ye takaaza hai, bhula do hum ko

Hum hakeekat hain to tasleem na karne ka sabab
Haan agar harf-e-ghalat hain to mita do hum ko

Shorish-e-ishq mein, husn baraabar hai shareek
Soch kar jurm-e-muhabbat ki sazaa do hum ko

Maqsad-e-jeest gham-e-ishq sahra ho ke shaher
Baith jaaeinge jahaan chaaho bitha do hum ko

~ Ehsan Danish

Saturday, February 9, 2013

Mujh ko dil, main dil ko samjhaata raha - 'Josh' Malsiyani



Bahas mein donon ko lutf aata rahaa,
Mujh ko dil, main dil ko samjhaata raha

~ 'Josh' Malsiyani

Talab-e-aashiq-e-saadiq mein asar hota hai - Azaad Ansari



Talab-e-aashiq-e-saadiq mein asar hota hai
Go zara der mein hota hai, magar hota hai

~ Azaad Ansari

The prayer of a lover true always carries weight
It surely bears fruit, though may be delayed 

Friday, February 8, 2013

Duniya bhula chukaa hoon tumhare khayaal mein - Hazrat Behzad Lakhnawi




Ab hai khushi khusi mein na gham hai malaal mein
Duniya se kho gaya hoon tumhaare khayaal mein

Mujh ko na apna hosh na suniya ka hosh hai
Nast ho ke baitha hoon tumhare khayaal mein

Taron se pooch lo meri rudaad-e-zindagi
Raton ko jaagta hoon tumhaare khayaal mein

Duniya ko ilm kya hai jamaane ko kya khabar
Duniya bhula chukaa hoon tumhare khayaal mein

Duniya khadi hai muntazir-e-nagma-e-alam
‘Behzad’ chup khade hain kisi ke khayal mein

~ Hazrat Behzad Lakhnawi


Thursday, February 7, 2013

Har ek katre mein dariya-e-maarifat hai rawaan ~ Jigar Moradabadi



Har ek katre mein dariya-e-maarifat hai rawaan
Magar naseeb ho kyun kar ke pyaas hi kam hai

~ Jigar Moradabadi

( In every drop of water a mystic river is flowing
But how can we avail of it, we are not thirsty )

Wednesday, February 6, 2013

Naaz jis pe karein sajde wo jabeen paida kar ~ Jigar Moradabadi



Bandagi yun to hai insaan ki fitrat lekin
Naaz jis pe karein sajde wo jabeen paida kar

~ Jigar Moradabadi

Tuesday, February 5, 2013

Na koi ghair na koi raqeeb lagta hai - Mirza Rafi Sauda



Hudood-e-zaat se baahar nikal ke dekh zara,
Na koi ghair, na koi raqeeb lagta hai....!!!!

~ Mirza Rafi Sauda

Monday, February 4, 2013

Aankhein jo hon - Mir Taqi Mir




Aankhein jo hon to ain hai maqsood har jagah

Bil-zaat hai jahaan mein wo maujood har jagah


~ Mir Taqi 'Mir'

Translation:

The real is visible in everywhere, provided it is seen with the inner eyes,
He exists in this world as the essence of all the things.