Friday, January 18, 2019

Kabhi un ka naam lena kabhi un ki baat karna - Peer Naseeruddin 'Naseer'


Kabhi un ka naam lena kabhi un ki baat karna !
Mera zauq un ki chaahat, mera shauq un pe marna !

Wo kisi ki jheel aankhen wo meri junoon-mizaji,
Kabhi doobna ubhar kar kabhi doob kar ubharna !

Tere manchalon ka jag mein ye ajab chalan raha hai,
Na kisi ki baat sunna, na kisi se baat karna !

Shab-e-gham na poochh kaise tere mubtala pe guzari,
Kabhi aah bhar ke girna, kabhi gir ke aah bharna !

Wo teri gali ke tewar, wo nazar nazar pe pahre,
Wo mera kisi bahane tujhe dekhte guzarna !

Kahaan mere dil ki hasrat, kahan meri na-rasai,
kahaan tere gesuon ka tere dosh par bikharna !

Chale lakh chaal duniya ho zamana lakh dushman,
Jo teri panaah mein ho use kya kisi se darna !

Wo karenge na-khudai to lagegi paar kashti,
Hai 'naseer' warna mushkil tera paar yun utarna !

~ Peer Naseeruddin 'Naseer' r.a.


Saturday, January 12, 2019

Bheekha jua khel prem ka kadi na aaye haar !
Jin ke hirday har basey wo jeete sau sau baar !

~ Hazrat Meeran Bheekh Chishti Sabri r.a.

apna gunahgaar

Sau jaan se ho Jaunga raazi main saza par,
Pahle wo mujhe apna gunahgaar to kar lein !

~ Akbar Ilahabadi

Friday, January 11, 2019

Ishq hai dillagi nahin

अब कोई बात भी मेरी माना के होश की नहीं
आपको भूल जाऊँ मैं, ऐसी तो बेख़ुदी नहीं

तीर पे तीर खाए जा, और यार से लौ लगाए जा
आह ना कर, लबों को सी, इश्क़ है दिल्लगी नहीं

आह! मेरी शब-ए-फ़िराक़, हाय ! मेरी शब-ए-फ़िराक़
यानि कि आज शाम से, तारों में रौशनी नहीं

तेरे करम से बेनियाज़, मुझे कौन सी शै मिली नहीं
झोली मेरी तंग है तेरे यहाँ कमी नही

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Ab koi baat bhi meri maana ke hosh ki nahin
Aapko bhool jaaun main aisi to bekhudin nahin

Teer pe teer khaaye ja aur yaar se lau lagaaye ja
Aah na kar labon ki sii ishq hai dillagi nahin

Aah meri shab-e-firqa, haaye meri shab-e-firaq
Yaani ke aaj sham se taaron mein roshni nahin

Tere karam se beniyaz mujhe kaun si shai mili nahin
Jholi meri tang hai Tere yahan kami nahin

Saturday, January 5, 2019

Tawaaf-e-kaaba-e-dil


Suna hai arsh-e-Elaahi isi ko kahte hain,
Tawaaf-e-kaaba-e-dil hum ne subh-o-shaam kiya !

~ Peer Shah Muhammad Aziz