Saturday, March 24, 2012

Muhabbat mein shab-e-tareek-e-hijraan kaun dekhega - Makhmoor Dehalvi


Muhabbat mein shab-e-tareek-e-hijraan kaun dekhega ????
Humeen dekheinge, yah khwab-e-parishaan kaun dekhega ????


In aankhon se tajalli ko darakhshaan kaun dekhega ????
Utha bhi do naqaab-e-ru-e-tabaan kaun dekhega ????


Yahi ik raat hai bas kaaynaat-e-zindagi apni
Sahar hoti hui  aye shaam-e-hijraan kaun dekhega ????


Basaana hi badega ik na ik din khana-e-dil ko
Bane firte ho Yusuf, sham-e-zindaan kaun dekhega ????


Haqeeqat ka takaaza bhi yahi hai pardadaari ka
raho tum aankh mein ke pardon mein pinhaan, kaun dekhega ????


Kuchh aisa ho dam-e-aakhir na aaein ayaadat ko
Unhein apne kiye par yun pashemaan kaun dekhega ????


Mujh par aayega ilzaam meri paaymaali ka
Teri raftaar ko aye fitna samaan kaun dekhega ????


Yahi ab bhi sadaaein aati hain waadi-e-aiman se
Kahaan hain taalib-e-deedar-e-janaan, kaun dekhega ????


Azaab-e-hashr se tu kyun daraata hai mujhe waaiz
Tujhe maloom bhi hai, fard-e-isiyaan kaun dekhega ????


Chalo ‘makhmoor’ tanhaai mein shagl-e-maikashi hoga
Chhupa kar le chalo peene ka saaman kaun dekhega ????


~ Makhmoor Dehalvi





No comments:

Post a Comment