Monday, December 24, 2012

Haram aur dair ke katbey wo dekhey - ‘Seemab’ Akbarabadi







Haram aur dair ke katbey wo dekhey jis ko fursat hai,
Yahaan hadd-e-nazar tak sirf unwaan-e-muhabbat hai;

 Parastaar-e-muhabbat ki muhabbat hi shariyat hai,
Kisi ko yaad kar ke aah kar lenaa ibaadat hai;

Ho ek kiradaar tum bhi merey mamool-e-muhabbat ka,
Mujhe tumse nahin apni muhabbat se muhabbat hai;

Wo kya sajda ? rahe ehsaas jismein sar uthaane ka,
Ibaadat aur ba-qaid-e-hosh tauheen-e-ibaadat hai;

 Meri dewaangi pe hosh waale bahas farmaaein,
Magar pahle unhein deewana ban’ne ki zaroorat hai;

 Maqaam-e-ishq ko har aadmi ‘seemab’ kya samjhe,
Ye hai ek martabaa, jo maawara-e-aadmiyat hai..!!!


~ Hazrat ‘Seemab’ Akbarabadi Sahab



4 comments:

  1. Is Sher me Bohat Kuch kaha Gaya hai, very deep

    ReplyDelete
  2. Zabardast
    Ya wo ehsas jise alfaz se bayan nahi kiya ja sakta

    ReplyDelete
  3. Isme bahut saare original nahi hai.... Kisi doosrey shayar ka sher ki bhi isme amezish hai.
    Isme 6 sher hain jab ki original me sirf 5 sher hai.
    Rekhta waalo ki ek aur website hai sufinama.org par dekh lein. Waha par original kalam mil jayega. 90 percent website aur log isko ghalat padhte hain

    ReplyDelete