Sunday, October 14, 2012

Mohabbat karne wale gham se ghabraaya nahin kerte !!!!


M’aaz-Allah tasawwur mein bhi wo aaya nahin karte 
Dil-e-mahzoon ko sham-e-gham bhi samjhaaya nahin karte
Guzishta waardat-e-ishq duhraaya nahin kerte 
Shikaayat kya labon tak aah bhi laaya nahin karte 
Mohabbat karne wale gham se ghabraaya nahin kerte.....

Ye behr-e-kaif-o-masti hai yahan be-wasta bahna
Ye duniya-e-muhabbat hai yahan ka hashr kya kahna
Ye hoshiyaron ki mahfil hai yahan kuch soch ker kahna
Ye bazm-e-saghar-o-meena hai waaiz hosh mein rehna 
Yahan be-kaif afsaanon ko dohraaya nahin karte.....

Jinhein gham ki fazaaein bakhsh dein irfaan-e-sermasti 
Jinhein unki adaaein bakhsh dein irfaan-e-sarmasti
Jinhein paiham jafaein bakhsh dein irfaan-e sar-masti
Jinhein unki nighahein bakhsh dein irfan-e sar-masti
Wo deewane fareb-e-hosh mein ayaa nahin kerte.....

Terey qadmon pe sar rakhna meri daireena fitrat hai
Yahi meri aqedat hai yahi meri mohabbat hai
Dil-e-dard-aashna ulfat mein ye takmeel-e-ulfat hai
Haram ho dair ho kuchh bhi ho lekin ye haqeeqat hai 
Khuloos-e-dil ke sajde raayegaan jaaya nahin kerte.....

Raah-e-ulfat mein hota hai taqaaza ab ye khilwat ka
Aur gumaan hone laga soorat pe apni, unki soorat ka 
Azeez-e-Waarsi ye sheir hai pukhta aqeedat ka 
‘Asad’ mauqa miley to kya miley arz-e-mohabbat ka
Hum un ko paa ke apne aap ko payaa nahin kerte.....

No comments:

Post a Comment