Saturday, October 13, 2012

Nazar milaa na sake us se us nigaah ke baad - Krishan Bihari Noor Sahab


Nazar milaa na sake us se us nigaah ke baad 
Wahi hai haal humaara jo ho gunaah ke baad

Main kaise aur kisi simt modta khud ko 
Kisi ki chaah na thi dil mein teri chaah ke baad

Zameer kaanp to jataa hai aap kuchh bhi kahein 
Wo ho gunaah se pahale ke ho gunaah ke baad

kati hui theen tanaabein tamaam rishton ki 
Chhupaata sar main kahaan tujhse rasm-o-raah ke baad

Gawaah chaah rahe the wo begunaahi ka 
Zubaan se kah na saka kuchh "Khuda-gawaah" ke baad 

Khutoot kar diye waapas, magar meri neendein
Inhein bhi chhor do ik raham ki nigaah ke baad 

~ Krishan Bihari Noor Sahab


No comments:

Post a Comment